Meri Ankhoun main samaya hay
Tumhara chehra
Mere khwaboun main khayaloun main
Tumhari ankhain
Chand k noor ki
Tumhara chehra
Or subho k ujaloun main
Tumhari ankhain
Meri har nazm main, ghazloun main
Tumhara chehra
Sab jawaboun main, sawaloun main
Tumhari ankhain
Jahan bhi dekhon dikhai day
Tumhara chehra
Sab muhabbat k hawaloun main
Tumhari ankhain
By Kanwal Malik
No comments:
Post a Comment